मिलन को जाने वाली सम्भल-सम्भल कर चल - piyaa-milan ko jaane waalii sambhal-sambhal kar chal Lyrics - Ulhas | Leela Desai | Leela Chitnis | Amirbai

1946

Lyrics

( piyaa-milan ko jaane waalii
sambhal-sambhal kar chal ) -2
sambhal-sambhal -4
piyaa-milan ko jaane waalii
sambhal-sambhal kar chal
ghuungat khol kalii samajhaatii
priit nagariyaa duur
teraa saanwariyaa
bulaa rahaa hai
kahaan-kahaan phir duur
duur nahiin
duur nahiin ab tere piyaa kaa
sundar rang-mahal
sambhal-sambhal -4
piyaa-milan ko jaane waalii
sambhal-sambhal kar chal
aandhii aa_ii
aandhii aa_ii kyaa ghabaraanaa
tujhako des piyaa ke jaanaa
naa dar
naa dar in kaanton pe badhatii chal
dekh ke baadal nahiin machal
nahiin hotaa yuun man bekal
haath men mehandii lagii
lagaayaa nainon men kaajal
sambhal-sambhal -4
piyaa-milan ko jaane waalii
sambhal-sambhal kar chal
uthii ghataa ghanaghor
teraa naach uthaa man-mor -2
priitam aaye aaj milan kaa
aayaa hai tyohaar
( sajaa aaratii kiratan gaa
aur pahanaa de tuu haar ) -2
aa_ii thii khil gayaa salonii
teraa hiraday kamal
ab sang piyaa ke chal
sambhal-sambhal -4
piyaa-milan ko jaane waalii
sambhal-sambhal kar chal