Mohabbat Se Dekha Lyrics - Bheegi Raat | Ashok Kumar | Meena Kumari | Pradeep Kumar | Mohammed Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Mohabbat se dekha song is from Bheegi Raat (1965) and it is sung by Mohammed Rafi.It stars Ashok Kumar, Meena Kumari, Pradeep Kumar, Shashikala in leading roles. This song is penned by Majrooh Sultanpuri and composed by Roshanlal Nagrath (Roshan). This song was released on 14 Feb 1965.
Lyrics
Mohabbat se dekha khafa ho gaye hai
Hasin aaj kal ke khuda ho gaye hai
Mohabbat se dekha khafa ho gaye hai
Adao mein thi sadgi ab se pahle
Adao mein thi sadgi ab se pahle
Walla kaha rang the ye sunhare pahle
Najar milte hi
Najar milte hi kya se kya ho gaye hai
Hasin aaj kal ke khuda ho gaye hai
Mohabbat se dekha khafa ho gaye hai
Kisi mod se banke suraj nikalna
Kisi mod se banke suraj nikalna
Tauba kahi dhup mein
Chandani ban ke chalna
Jidhar dekho jalwa
Jidhar dekho jalwa numa ho gaye hai
Hasin aaj kal ke khuda ho gaye hai
Mohabbat se dekha khafa ho gaye hai
Yahan to laga dil pe ek zakhm gehara
Yahan to laga dil pe ek zakhm gehara
Wahan sirf unaka ye andaaz thehara
Khata karake bhi
Khata karake bhi bekhata ho gaye hai
Hasin aaj kal ke khuda ho gaye hai
Mohabbat se dekha khafa ho gaye hai.