Madhuban Khushboo Lyrics - Saajan Bina Suhagan | Nutan | Rajendra Kumar | Vinod Mehra | Anuradha Paudwal | K. J. Yesudas (Kattassery Joseph Yesudas)
in Movies
Watch the Video
Song Information
Madhuban khushboo song is from Saajan Bina Suhagan (1978) and it is sung by Anuradha Paudwal and K. J. Yesudas (Kattassery Joseph Yesudas).It stars Nutan, Rajendra Kumar and Vinod Mehra in leading roles. This song is penned by Amit Khanna and composed by Usha Khanna. It is produced by Sawan Kumar. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
Madhuban khusbu deta hai
Sagar sawan deta hai
Jina uska jina hai jo oro ko jiwan deta hai
Madhuban khusbu deta hai
Suraj na ban paye to
Banke deepak jalta chal
Suraj na ban paye to
Banke deepak jalta chal
Pul mile ya angare
Sach ki raho pe chalta chal
Sach ki raho pe chalta chal
Pyar dilo ko deta hai
Ashko ko daman deta hai
Jina uska jina hai jo oro ko
Jiwan deta hai
Madhuban khusbu deta hai
Sagar sawan deta hai
Madhuban khusbu deta hai
Chalti hai laharake pawan
Ke sans sabhi ki chalti rahe
Chalti hai laharake pawan
Ke sans sabhi ki chalti rahe
Logo ne tyag diye jiwan
Ke preet dilo me palti rahe
Ke preet dilo me palti rahe
Dil wo dil hai jo
Oro ko apni dhadkan deta hai
Jina uska jo oro ko jiwan deta hai
Madhuban khusbu sagar jiwan deta hai
Madhuban khusbu.