Guzra hua zamana song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Aspi Irani. This song was released on 31 Dec 1956.
Guzra hua zamana
Aata nahin dobara
Haafiz khuda tumhara


Guzra hua zamana
Aata nahin dobara
Haafiz khuda tumhara
Haafiz khuda tumhara


Khushiya thin chaar pal ki
Aansoo hain umr bhar ke
Tanhaaiyon mein aqsar
Royenge yaad kar ke
Wo waqt jo ki hamne
Wo waqt jo ki hamne
Ik saath hai guzara
Haafiz khuda tumhara


Meri qasam hai mujhko
Tum bewafaa na kehna
Majboor thi muhabbat
Sab kuchh padaa hai sehna
Toofaan hai zindagi ka
Toofaan hai zindagi kaa
Ab aakhiri sahara
Haafiz khuda tumhara
Haafiz khuda tumhara


Mere liye sahar bhi
Aayi hai raat ban kar
Nikla mera janaazaa
Meri baraat ban kar
Achchhaa huaa jo tumne
Dekha na ye nazara
Haafiz khuda tumhara.