Hai dhanya suhagan wo song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Hai dhanya suhagan wo jisne
Bharat ko tulsi das diya
Mehandi mahawar rach kar bhi
Sukh sapno se sanyas liya
Mehandi mahawar rach kar bhi
Sukh sapno se sanyas liya
Hai dhanya suhagan wo jisne
Bharat ko tulsi das diya


Tumne bhi kangan pahne de
Tumno bhi bajai thi payal
Tumne bhi kiya tha naino se
Kuch din to sawariya ko ghayal
Milne aaye tumse pritam
To bhej ram ke pas diya
Hai dhanya suhagan wo jisne
Bharat ko tulsi das diya


Sach mano tulsi na hote
To hindi kahi padi hoti
Uske mathe par ramayan ki
Bindi nahi jadi hoti
Biso basant dekar jisne
Badle me bas chomas liya
Hai dhanya suhagan wo jisne
Bharat ko tulsi das diya


Jao kavi jab tak ram amar
Dunia me tera nam amar
Dunia pujegi raghuwar ko
Gunjega tera sar ghar ghar
Jiwan to diya hari ko
Hamko hari lila ka itihas diya
Hai dhanya suhagan wo jisne
Bharat ko tulsi das diya.