Dekhta Chala Gaya Lyrics - Gateway Of India | Pradeep Kumar | Madhubala | Bharat Bhushan | Johnny Walker | Lata Mangeshkar
in Movies
Watch the Video
Song Information
Dekhta chala gaya song is from Gateway of India (1957) and it is sung by Johnny Walker, Lata Mangeshkar and Mohammed Rafi.It stars Pradeep Kumar, Madhubala and Bharat Bhushan in leading roles. This song is penned by Rajinder Krishan and composed by Madan Mohan. It is produced by J. Om Prakash. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
Dekhta chala gaya
Main zindagi ki raah mein
Har koyi kadam kadam pe
Mast hai gunaahon mein
Tu bhi ek gunaah kar
Ae dil kisi ki chaah kar
Dekhta chala gaya
Main zindagi ki raah mein
Koyi kahega kya
Koyi sunega kya
Kisi ke bhi kahe sune se
Tera waasta hai kya
Khayaal zulf e yaar kar
Ye lo
Khayaal zulf e yaar kar
Nazar ko beqaraar kar
Nahin hoti
Idhar udhar pade kadam
Tu kar na gham
Na soch zindagi mein
Tera raasta hai kya
Dekhta chala gaya
Main zindagi ki raah mein
Ye chaand ki haseen shamma
Aaj tere haath hai
Kya baat hai
Bada haseen saath hai
Haseen hun main
Jawaan hai tu
Magar bataa kahaan hai tu
Jaha hun main
Wahaan to zindagi
Nashe mein chur hai
Sarur hi sarur hai
Teri nazar ka nur hai
Zara qareeb aa mere
Arre apna bhi majbur hai
Aur tu bahot hi dur hai
Dekhta chala gaya
Main zindagi ki raah mein
Har koyi kadam kadam pe
Mast hai gunaahon mein
Tu bhi ek gunaah kar
Zindagi tabaah kar
Dekhta chala gaya
Main zindagi ki raah mein
Suraahi jhumne lage
Payaale muskuraa pade
Suraahi jhumne lage
Payaale muskuraa pade
Pahunch gayee hun aasman pe
Kis tareh khade khade
Chal jhhuthi
Yeh khwaab ya khayaal hai
Nahin nai
Yeh jaam ka kamaal hai
Yeh jaam ka kamaal hai
Ye cheez be misaal hai
Bahot achche
Dekhta chala gaya
Main zindagi ki raah mein
Har koyi kadam kadam pe
Mast hai gunaahon mein
Tu bhi ek gunaah kar
Ae dil kisi ki chaah kar
Dekhta chala gaya main
Zindagi ki raah mein
La lalalla la la la lalla la
La lalalla la la la lalla lala.