Abhigyaan shaakuntal song is from and it is sung by and .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Jyotish Trivedi. This song was released on 01 Jan 2018.
pranay virah aur milan kii kathaa suno saathii
abhigyaan shaakuntal sundar abhinay kalaa ???
aa~
sakhii hriday men halachal kyon hone lagii
merii akhiyaan do chanchal kyon hone lagii
gayaa bachapan kaa raat din aayaa vo aaj
tan kumhalaaye ab singaar se
paanv dabate hain yauvan ke bhaar se
koii kaanon men gun gun gun gaane lagaa
dekho bhanvaraa bhii hamako sataane lagaa
dank maare kyon jor
mat kar itanaa shor
koii aayegaa terii pukaar se
paanv dabate hain yauvan ke bhaar se
kanv sutaa priy shakuntalaa nahiin aanchal sakii sambhaal
ruup dekh dushhyant kaa haay huii behaal
ye tapasvini vo raajaa phir bhi anhoni ho gayi
puurn yauvanaa pratham milan kii pratham drishhtii men kho gayii
raajaa ne bhii ghar aur jag kii zaraa na kii parvaah
shakuntala ke sang kiyaa ban men gandharv vivaah
kar vivaah de kar vachan
nrip ne kiyaa prasthaan
kintu shaapvashh bhuul gaye vo shakuntalaa kaa dhyaan
bhuul gaye kyon de ke vachan
tan ko jalaaye birahaa agan
yaa chale aao, yaa mujhako bulaao
darshan bin akulaaye nayan
bhuul gaye kyon de ke vachan
bhuul gaye bhuul gaye bhuul gaye
bhuul gaye kyon bhuul gaye
birahaa taap se byaakul birahan
sah na sakii judaa_ii
priyanvadaa ne maan ke god men ye kathaa sunaayii
maan kii mamataa bharii, do akhiyaan karunaa se bhar aayiin
pitaa kanv laadalii shakun ko dete aaj bidaai
rone lagii aashram ke sakhiyaan sahelii
rone lagii bagiyaa kii saathi chamelii
hiranaa bhii roy jis ke sang zaraa khelii
chhod hamen aaj kahaan chalii ho akelii
nayanon men ullaas thaa man men milan kii aas
maan ke sang shakuntalaa pahunchii piyaa ke paas
badal gaye dushhyant nrip vidhi kaa ajab vidhaan
durvaasaa ke shaap vash sake nahiin pahachaan
kaun ho kahaan se aa rahii ajaan naar tum
kyaa bataa_uun jab bhulaate ho hamaaraa pyaar tum
pyaar kaisaa pyaar? pyaar kaisaa pyaar
jhuuthh bolatii zabaan tum
dekh lo diyaa huaa anguuthii kaa nishaan tum
main na jaanataa tumhen ye kaisaa naarii vansh hai
mere garbh men tumhaare vansh hii kaa ansh hai
jaa apane ghar sundarii khadii yahaan kyon maun
jaa kalankinii piyaa nahiin to ham bhii tumhaare kaun
tuut padaa aakaash, phataa dharitrii maan
mujhe sambhaalo god men
piyaa hue agyaan