aaj kii raat aaj kii raat chaaNdanii ang men aag lagaaye Lyrics - Nirupa Roy | Bharat Bhushan | Anita Guha | Usha | Sabita Banerjee

1959

Lyrics

jise banaayaa khevanahaaraa, vahii aaj kar gayaa kinaaraa
apanaa banaake aaj kisiine luut liyaa re bhaagya hamaaraa
aaj kii raat aaj kii raat
chaandanii ang men aag lagaaye
chakorii jhar jhar niir bahaaye
aaj meraa chandaa nahiin hai saath
aaj kii raat
aa~ aa ha haa aa ha haa
aa ha haa
aaj kii raat aaj kii raat
magan man mand mand muskaaye
chakorii man men khil khil jaaye
aaj meraa chandaa hai mere saath
aaj kii raat
basantii rut nayano men aaj kii paavas ban ke chhaa_ii hai
niraalii ye puunam kii raat amaavas ban ke aayii hai
kise nayanan kaa niir dikhaa_uun
kise main man kii piir bataa_uun
aaj meraa chandaa nahiin hai saath
aaj kii raat
aaj kyon bajate sananan chhun
mere paanv kii ye paayal
nayan men kaun samaayaa re
bikharane lagaa meraa kaajal
aaj main giit priit ke gaa_uun
kabhii sharamaa_uun, kabhii musakaa_uun
aaj meraa chandaa hai mere saath
aaj kii raat