shaam rangiin huii hai tere aaNchal kii tarah Lyrics - Usha | Suresh Wadkar

1981

Lyrics

shaam rangiin huii hai tere aanchal kii tarah
surma_ii rang sajaa hai tere kaajal kii tarah
paas ho tum mere dil ke mere aanchal kii tarah
merii aankhon men base ho mere kaajal kii tarah
merii hastii pe kabhii yuun koii chhaayaa hii na thaa
tere nazdiik main pahale kabhii aayaa hii na thaa
main huun dharatii kii tarah tum kisii baadal kii tarah
surma_ii rang sajaa hai tere kaajal kii tarah
aasmaan hai mere armaanon ke darpan jaise
dil yuun dhadake ki lage baj uthe kangan jaise
mast hain aaj havaaen kisii paayal ki tarah
surma_ii rang sajaa hai tere kaajal kii tarah
aisii rangiin mulaaqaat kaa matalab kyaa hai
in chhalakate hue jazbaat kaa matalab kyaa hai
aaj har dard bhulaa do kisii paagal kii tarah
surma_ii rang sajaa hai tere kaajal kii tarah