Aag Hai Lagi Hui Yahan Wahan Lyrics - Swarg Narak | Sanjeev Kumar | Vinod Mehra | Jeetendra | Mohammed Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Aag hai lagi hui yahan wahan song is from Swarg Narak (1978) and it is sung by Mohammed Rafi.It stars Sanjeev Kumar, Vinod Mehra and Jeetendra in leading roles. This song is penned by Anand Bakshi and composed by Rajesh Roshan. It is produced by B.Nagi Reddy. This song was released on 21 Dec 1978.
Lyrics
Aag hai lagi huyi
Aag hai lagi huyi
Har taraf yahaan wahaan
Jal rahi hai ye zameen
Jal rahaa hai aasmaan
Aag hai lagi huyi
Har taraf yahaan wahaan
Jal rahi hai ye zameen
Jal rahaa hai aasmaan
Aag hai lagi huyi
Dil kyaa
Ha ha ha
Kaanch ka khilona hai
Swapan ek salonaa hai
Dil badaa naazuk hai ye
Toot na jaaye kahin
Khelte hain dil se jo
Ye khabar unko nahin
Dil badaa naazuk hai ye
Toot na jaaye kahin
Khelte hain dil se jo
Ye khabar unko nahin
Dil gayaa to kyaa rahaa
Dil ke saath hai jahaan
Jal rahi hai ye zameen
Jal rahaa hai aasmaan
Aag hai lagi huyi
Cheez kya hai pyaar ye
Ik dawaa hai pyaar ye
Ye dawaa kabhi kabhi
Gham ka jaam ban gayi
Zindagi ki har subah
Ek shaam ban gayi
Raushni chali gayi
Raushni chali gayi
Rah gayaa dhuaan dhuaan
Jal rahi hai ye zameen
Jal rahaa hai aasmaan
Dor toot jaati hai
Jode gaanth aati hai
Shaadi aur byaahen
Rishtaa ek baar kaa
Saat janam ke waaste
Ek waadaa pyaar kaa
Shaadi aur byaahen
Rishtaa ek baar kaa
Saat janam ke waaste
Ek waadaa pyaar kaa
Ek pal mein ho gaye
Hahahahahaha
Ek pal mein ho gaye
Phir bhi log badgumaan
Jal rahi hai ye zameen
Jal rahaa hai aasmaan
Aag hai lagi huyi
Har taraf yahaan wahaan
Jal rahi hai ye zameen
Jal rahaa hai aasmaan
Aag hai lagi huyi
Har taraf yahaan wahaan
Jal rahi hai ye zameen
Jal rahaa hai aasmaan.