Zindagi Ke Safar Mein Lyrics - Aap Ki Kasam | Mumtaz | Rehman | Murad | Kishore Kumar
in Movies
Watch the Video
Song Information
Zindagi ke safar mein song is from Aap Ki Kasam (1974) and it is sung by Kishore Kumar.It stars Mumtaz, Rehman, Murad, Sanjeev Kumar in leading roles. This song is penned by Anand Bakshi and composed by R D Burman. It is produced by J. Om Prakash. This song was released on 17 Apr 1974.
Lyrics
Woh phir nahin aate.. woh phir nahin aate
Zindagi ke safar mein guzar jaate hain jo makaam
Woh phir nahin aate.. woh phir nahin aate
Phool khilte hain, log milte hain
Phool khilte hain, log milte hain magar
Patjhad mein jo phool murjha jaate hain
Woh bahaaron ke aane se khilte nahi
Kuchh log ek roz jo bichhad jaate hain
Woh hazaaron ke aane se milte nahi
Umra bhar chaahe koi pukara kare unaka naam
Woh phir nahi aate, woh phir nahi aate
Aankh dhokha hai, kya bharosa hai
Aankh dhokha hai, kya bharosa hai suno
Doston shaq dosti ka dushman hai
Apne dil mein ise ghar banaane na do
Kal tadapna pade yaad mein jinki
Rok lo rooth kar unko jaane na do
Baad mein pyar ke chaahe bhejo hazaron salaam
Woh phir nahi aate, woh phir nahi aate
Subah aati hai, raat jaati hai
Subah aati hai, raat jaati hai yun hi
Waqt chalta hi rehta hai rukta nahin
Ek pal mein yeh aage nikal jata hai
Aadmi theek se dekh pata nahin
Aur parde pe manzar badal jata hai
Ek baar chale jaate hain jo din-raat, subah-shaam
Woh.. woh phir nahi aate, woh phir nahi aate
Zindagi ke safar mein guzar jaate hain jo makaam
Woh phir nahin aate.. woh phir nahin aate