Tujhe jeevan ki dor se bandh liya hai song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by B Lachman, L B Thakur. This song was released on 01 Jan 1963.
Tere zulm-o-sitam sar aankhon par
Maine badle mein pyaar ke
Pyaar diya hai, pyaar diya hai
Teri khushiyan aur gham, sar aankhon par
Tujhe jeevan ki dor se bandh liya hai, bandh liya hai
Tere zulm-o-sitam sar aankhon par

Apsara koi aaye to dekhoon nahin
Koi behkaaye hans ke to behkoon nahin
Apsara koi aaye to dekhoon nahin
Ho koi behkaaye hans ke to behkoon nahin
Tore matware naino ne jaadu kiya
Ho tore matware naino ne jaadu kiya
Teri ulfat sanam sar aankhon par
Maine badle mein pyaar ke
Pyaar diya hai, pyaar diya hai
Teri khushiyan aur gham, sar aankhon par

Mere jeevan ki an-mit kahani hai tu
Meri taqdeer aur zindagani hai tu
Mere jeevan ki an-mit kahani hai tu
Meri taqdeer aur zindagani hai tu
Liye phirte hain sabse chhupaye huye
Liye phirte hain sabse chhupaye huye
Teri tasveer hum sar aankhon par
Tujhe jeevan ki dor se bandh liya hai, bandh liya hai
Tere zulm-o-sitam sar aankhon par

Chaand sooraj bhi hain teri parchhaiyan
Tujh se roshan huyi dil ki gehraiyan
Chaand sooraj bhi hain teri parchhaiyan
Tujh se roshan huyi dil ki gehraiyan
Tere chehre ki jhilmil se manzil mili
Tere chehre ki jhilmil se manzil mili
Aisi pyaari poonam sar aankhon par
Tujhe jeevan ki dor se bandh liya hai, bandh liya hai
Tere zulm-o-sitam sar aankhon par
Tujhe jeevan ki dor se bandh liya hai, bandh liya hai
Tere zulm-o-sitam sar aankhon par