Sundari aye haye sundari song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Kundan Kumar. This song was released on 01 Jan 1973.
Sundari aye haye sundari
Apun ko bhi ek nazar dekho na
Bure nahin hum bhi idhar dekho na
Apun ko bhi ek nazar dekho na
Bure nahin hum bhi idhar dekho na
Sundari aye haye sundari
Sundari aye haye sundari

Kaisi anokhi adaa jaani hai teri
Kaisi anokhi adaa jaani hai teri
Phir se pakad bahiyaan zaraa pyaar se meri
Tera yaar main nahin hai
Magar aisi kya kami hai
Sakal to milti hai tere yaar se meri
Hai na yehi baat to phir dekho na
Bure nahin hum bhi idhar dekho na
Sundari aye haye sundari
Sundari aye haye sundari

Dikhne mein kangaal hai pan raja hai dil ka
Dikhne mein kangaal hai pan raja hai dil ka
Aa main bana dega tujhe pyaar ki malika
Kabhi ek roj aake mera jhopda basa de
Jhopad mein dikhla doon maja rajmahal ka
Hai na yehi baat to phir dekho na
Bure nahin hum bhi idhar dekho na
Sundari aye haye sundari
Sundari aye haye sundari

Ho gai gussa arre tum to kasam se
Ho gai gussa arre tum to kasam se
Aisi badi kaun khata ho gayi humse
Gore gaalon waali bai zaraa thaam li kalai
Khaali peeli tum to khafa ho gayi humse
Hai na yehi baat to phir dekho na
Bure nahin hum bhi idhar dekho na
Sundari aye haye sundari
Sundari aye haye sundari

Apun ko bhi ek nazar dekho na
Bure nahin hum bhi idhar dekho na
Sundari aye haye sundari
Sundari aye haye sundari