Haal kya hai dilon ka na poochho sanam song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Kundan Kumar. This song was released on 01 Jan 1973.
Haal kya hai dilon ka na poochho sanam
Aapka muskurana gazab dha gaya
Haal kya hai dilon ka na poochho sanam
Aapka muskurana gazab dha gaya
Ek to mehfil tumhari hasin kam na thi
Ek to mehfil tumhari hasin kam na thi
Us pe mera tarana gazab dha gaya
Ek to mehfil tumhari hasin kam na thi
Us pe mera tarana gazab dha gaya
Haal kya hai dilon ka na poochho sanam

Ab to lehraya masti bhari chhanv mein
Ab to lehraya masti bhari chhanv mein
Bandh lo chaahe ghunghru mere paanv mein
Bandh lo chaahe ghunghru mere paanv mein
Main behakta nahin tha magar kya karoon
Main behakta nahin tha magar kya karoon
Aaj mausam suhana gazab dha gaya
Main behakta nahin tha magar kya karoon
Aaj mausam suhana gazab dha gaya
Haal kya hai dilon ka na poochho sanam

Har nazar uth rahi hai tumhari taraf
Har nazar uth rahi hai, nazar uth rahi hai
Har nazar uth rahi hai tumhari taraf
Aur tumhari nazar hai hamari taraf
Aur tumhari nazar hai hamari taraf
Aankh uthana tumhara to phir theek tha
Aankh uthana tumhara to phir theek tha
Aankh uthakar jhukana gazab dha gaya
Aankh uthana tumhara to phir theek tha
Aankh uthakar jhukana gazab dha gaya
Haal kya hai dilon ka na poochho sanam

Mast aankhon ka jaadu jo shaamil hua
Mast aankhon ka jaadu...
Mast aankhon ka jaadu
Mast aankhon ka
Mast aankhon ka jaadu jo shaamil hua
Mera gana bhi sun-ne ke kaabil hua
Mera gana bhi sun-ne ke kaabil hua
Jisko dekho wohi aaj behos hai
Jisko dekho wohi aaj behos hai
Aaj to main deewana gazab dha gaya
Jisko dekho wohi aaj behos hai
Aaj to main deewana gazab dha gaya

Ek to mehfil tumhari hasin kam na thi
Us pe mera tarana gazab dha gaya
Haal kya hai dilon ka na poochho sanam