Phulo ki mahak lahro ki lachak song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Kiron Production. This song was released on 01 May 1968.
Phulo ki mahak lahro ki lachak
Bijli ki chura kar angadayi
Jo sakal banai kudrat ne
Aurat wo yaha ban kar aayi ban kar aayi
Beti wo bani patni wo bani sathi wo bani
Parmeshwar parmeshwar mana pati ko
Aur mandir me diya bati wo bani
Yun intzaar swami ka kiya
Khidki pe shama si jalti tahi
Wo bahar ras rachata raha
Ye ghar me haye siskati rahi siskati rahi


Haye kyu ruthi ho jane bahar bolo na
Aur ab hoga nahi intzar bolo na
Haye kyu ruthi ho jane bahar bolo na
Pehalu me aa ja saanso me ghul na
Baho me soja jam me dhalja
Pehalu me aa ja saanso me ghul na
Baho me soja jaam me dhalja
Raat aayegi na ye baar baar bolo na
Haye kyu ruthi ho jane bahar bolo na
Aur ab hoga nahi intzaar bolo na


Aur fir aa hi gaya din bhi wo manhus
Ki jab mard ki pyas ne rang naya dikhlaya
Aasiya apna jo tha haye paraya wo hua
Bhawra ek or nayi titli liye ghar aaya


Maut ke siwa garib ke
Zakhm ka nahi koi ilaaj
Waah ri o duniya besharam
Waah re o behaya samaj
Kitni kaliya teri raah me
Khil ke bhi na muskura saki
Koi jake kothe pe chadi
Koi haye dub kar mari


Haye aurat hai chiz kya tu bhi
Khake thokar bhi pyar karti hai
Jiske hatho tu luti jati hai
Uspe hi jan nishar karti hai
Tu nahi janti hai itna bhi
Khud kushi khud narak ki raah hai ek
Zulm karna hi bas gubah nahi
Zulm sahna bhi to gunah hai ek
Bhul kar apna farz jab majhi
Khud hi kashti duba de pani me
Tab kisi or naw par jana
Hai nahi pap zindgani me
Uth koi or humsafar chun le
Jod rishta nayi kahani se
Hai andhere me jo teri bahne
Maut ko unki zindgani de.