Phoolo ki mahak lehro ki lachak bijli ki churakar song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Kiron Production. This song was released on 01 May 1968.
phulo ki mahak lahro ki
lachak bijli ki chura kar angadayi
jo sakal banai kudrat ne aurat wo yaha ban kar aayi
ban kar aayi beti wo bani patni wo bani sathi wo bani
parmeshwar mana pati ko
aur mandir me diya bati wo bani
yu intzar swami ka kiya khidki pe shama si jalti rahi
wo bahar ras rachata raha ye ghar me haye siskati rahi

hay kyu ruthi ho jane bahar bolo na
aur ab hoga nahi intzar bolo na
hay kyu ruthi ho jane bahar bolo na
pahlu me aa ja sanso me ghul na
baho me soja jam me dhalja
pahlu me aa ja sanso me ghul na
baho me soja jam me dhalja rat
aayegi na ye bar bar bolo na
hay kyu ruthi ho jane bahar
bolo na aur ab hoga nahi intzar bolo na

aur fir aa hi gaya din bhi wo manhus
ki jab mard ki pyas ne rang naya dikhlaya
aashiya apna jo tha haye paraya wo hua
bhawra ek or nayi titli liye ghar aaya

maut ke siwa garib ke jakham ka nahi koi ilaz
wah ri o dunia besharam wah re o behara samaj
kitni kaliya teri rah me khil ke bhi na muskura saki
koi jake kothe pe chali koi haye dub kar mari

haye aurat hai chiz kya tu bhi khake thokar bhi pyar karti hai
jiske hatho tu luti jati hai uspe hi jan nishar karti hai
tu nahi janti hai itna bhi khud kushi khud narak ki rah hai ek
jurm karna hi bas gunah nahi jurm sahna bhi to gunah hai ek
bhul kar apna farz jab majhi khud hi kashti duba de pani me
tab kisi or naw par jana hai nahi pap jindgani me
uth koi or humsafar chun le jod rishta nayi kahani se
hai andhere me jo teri bahne maut ko unki jindgani de