Main Kaise Use Pasand Karun, Wo Aurat Hai Tu Mahabubaa Lyrics - Satyam Shivam Sundaram | Shashi Kapoor | Zeenat Aman | Lata Mangeshkar | Nitin Mukesh Chand Mathur
in Movies
Watch the Video
Song Information
Main kaise use pasand karun, wo aurat hai tu mahabubaa song is from Satyam Shivam Sundaram (1978) and it is sung by Lata Mangeshkar and Nitin Mukesh Chand Mathur.It stars Shashi Kapoor and Zeenat Aman in leading roles. This song is penned by Anand Bakshi and composed by Laxmikant Pyarelal. It is produced by Raj Kapoor, Ravi Malhotra. This song was released on 06 Aug 1978.
Lyrics
mai kaise use pasand karu, mai kaise aankhe band karu
wo aurat hai tu mahbuba, tu sab kuchh hai wo kuchh bhi nahi
wo aurat hai tu mahbuba, tu sab kuchh hai wo kuchh bhi nahi
tum aise use pasand karo, mil baitho baate chand karo
wo aurat hai mai mahbuba, wo sab kuchh hai mai kuchh bhi nahi
kuchh bhi nahi
wo aurat hai mai mahbuba, wo sab kuchh hai mai kuchh bhi nahi
mere liye jo pyaar-muhabbat uske liye paheli
mere liye jo pyaar-muhabbat uske liye paheli
champa kaise bhaaye use jiske man basi chameli
uska dukh hai mera dukh meri sautan meri saheli
mere bina akele tum, wo tumhare bina akeli
mat ye diwaar buland karo, mil baitho baate chand karo
wo aurat hai mai mahbuba, wo sab kuchh hai mai kuchh bhi nahi
kuchh bhi nahi
wo aurat hai mai mahbuba, wo sab kuchh hai mai kuchh bhi nahi
uska naam na le mujhko nafrat hai uske naam se
thak gaye ho bechain ho tum so jaao aaraam se
ye rain milan ki raina hai, mil kar bhi dur hi rahna hai
tune kitna tarsaya hai, tumne kitna tadpaya hai
rupa kyu rup chhupati hai, aise me sharm to aati hai
ab ye ghunghat uth jaane do, kuchh der yuhi sharmaane do
mukh dhaak liya kyu haatho se, dar lagta hai in baato se
mai dunga apna naam tujhe, tum kar do badnaam mujhe
kuchh paap nahi hai pyaar hai ye, ik shishe ki diwaar hai ye
gir jaane do diwaaro ko, chhupane do chaand-sitaaro ko