ham hain nashe men Lyrics - Sandhya | Prashant | Asha | chorus

1963

Lyrics

ham hain nashe men tum ho nashe men
aankhen miliin hain usii kaa nashaa hai
ham hain nashe men
kal raat dekhaa thaa alabelaa sapanaa
man chaahe baalam ko paayaa thaa apanaa
phir main na soyii
sapanon men khoyii
aahen bhariin hain usii kaa nashaa hai
ham hain nashe men
nashaa pyaar kaa hai umar bhar rahegaa
ulfat ke maujon men ye dil bahegaa
main ban ke nadiyaa
laharaa rahii huun
laharen uthiin hain usii kaa nashaa hai
ham hain nashe men