Hai Aag Humare Seene Me Hum Bhi Hai Tum Bhi Ho (Part 1) Lyrics - Jis Desh Men Ganga Behti Hai | Mukesh | Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
in Movies
Watch the Video
Song Information
Hai aag humare seene me hum bhi hai tum bhi ho (part 1) song is from Jis Desh Men Ganga Behti Hai (1961) and it is sung by Mukesh, Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Mahendra Kapoor, Lata Mangeshkar.It stars Raj Kumar, Padmini and Pran in leading roles. This song is penned by Shailendra (Shankardas Kesarilal) and composed by Shankar Jaikishan. It is produced by Raj Kapoor. This song was released on 01 Jan 1960.
Lyrics
hai aag hamare sine me hum aag se khelte aate hai
takrate hai jo is takat se vo mitti me mil jate hai
tumse to patanga achha hai jo haste hue jal jata hai
oye hoye hoye hoye
wo pyar me mit to jata hai par nam amar kar jata hai
par nam amar kar jata hai
hum bhi hai tum bhi ho dono hai amne-samne
dekh lo kya asar kar diya pyar ke naam ne
ham gate-garajte sagar hai koi hamko bandh nahi paya
hoy hum mauj me jab bhi lagraye sara jag dar se tharraya
hum choti si wo bund sahi hai seep ne jisko apnaya
oye hoye hoye hoye
khara pani koi pi na saka ek pyar ka moti kaam aaya
ek pyar ka moti kaam aaya
hum bhi hai tum bhi ho dono hai amne-samne
dekh lo kya asar kar diya pyar ke naam ne
kis phul pe dunia marti hai kaun sa fal sabse mitha
naino se naina takraye to kaun hara or kaun jita
ye dil ka kamal sab se sundar, mehnat ka fal sabse mitha
is pyar ki bazi me haskar jo dil hara wo sab jita
jo dil hara wo sab jita
hum bhi hai tum bhi ho dono hai amne-samne
dekh lo kya asar kar diya pyar ke naam ne
itna sa jigar itna sa hai dil hai kya kya bat badi karne aaye
kya paida hogi aag agar pathar se na pathar takraye
nanha sa dil ye aankho me na ho to pal me andhera ho jaye
itna sa dil tu de-de agar sara jag tera ho jaye
sara jag tera ho jaye
hum bhi hai tum bhi ho dono hai amne-samne
dekh lo kya asar kar diya pyar ke naam ne
jane kaisi ye mauje anjani dil me aayi jaise yad purani
jane kaisi ye mauje anjani dil me aayi jaise yad purani
ho yad purani
tumne liya aaj dil mera aaj ki rang bhari sham ne
hum bhi hai tum bhi ho dono hai amne-samne
tune mujhko sankha tha begana lekin tumko maine hi pahchana
tune mujhko sankha tha begana lekin tumko maine hi pahchana
haay pahchana
mil gayi manjile rah hasi khul gayi samne
hum bhi hai tum bhi ho dono hai amne-samne
tu jo kah de mai teri ho jau khoyi-khoyi aankho me kho jau
tu jo kah de mai teri ho jau khoyi-khoyi aankho me kho jau
haye kho jau
tumne ye kya kiya log dil ko lage thamne
dekh lo kya asar kar diya pyar ke naam ne
hum bhi hai tum bhi ho dono hai amne-samne