Bata mujhe o jahan ke maalik song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Deep Khosla, Pradeep Kumar. This song was released on 01 Jan 2018.
Maalik main puchhata
Hu mujhe tu javab de
Bahate hai kyu garib
Ke aansu javab de


Bata mujhe o jahan ke maalik
Ye kya nazare dikha raha hai
Tere samudar mein kya kami thi
Ke aadami ko rula raha hai


Kabhi hansae kabhi rulade
Ye khel kaisa hai tu bata de
Kabhi hansae kabhi rulade
Ye khel kaisa hai tu bata de
Jise banaya tha
Apne hatho usi ko
Ab kyu mita raha hai
Tere samudar mein kya kami thi
Ke aadami ko rula raha hai


Jo khud hi gham se bujha bujha hai
Tera phir is mein kamal kya hai
Jo khud hi gham se bujha bujha hai
Tera phir is mein kamal kya hai
Ki ek dipak ki raah mein tu
Hazaro tufaan utha raha hai
Bata mujhe o jahan ke maalik
Ye kya nazare dikha raha hai
Tere samudar mein kya kami thi
Ke aadami ko rula raha hai.