dharati ki sulagati chhati ke bechain sharare puchhate hainyeh kiska lahu hai kaun mara, yeh kiska lahu hai kaun mara ai rahabar mulko kaum bata, yeh kiska lahu hai kaun marayeh kiska lahu hai kaun marayeh jalate huye ghar kiske hai, yeh katate huye tan kiske haintaksim ke andhe tufan me, lutate huye gulshan kiske hainbad bakt kijaye kiski hain, barabad nasheman kiske hainkuchh ham bhi sune hamako bhi sunaai rahbar mulko kaum bata, yeh kiska lahu hai kaun marayeh kiska lahu hai kaun mara
kis kam ke hain yeh din dharam, jo sharm kaa daman chak karekis tarah ke hain yeh desh bhagat, jo baste gharo ko kak kareyeh ruhe kaisi ruhe hain, jo dharati ko napak kareaankhe toh utha najre toh milaai rahbar mulko kaum bata, yeh kiska lahu hai kaun marayeh kiska lahu hai kaun marajis ram ke nam peh kun bahe, us ram ki ijjat kya hogijis din ke hatho laj lute, us din ki kimat kya hogiinsan ki iss jillat se pare, shaitan ki jillat kya hogiyeh ved hata kuran uthaai rahbar mulko kaum bata, yeh kiska lahu hai kaun marayeh kiska lahu hai kaun mara