Tere jhuthe waade ka aitbaar song is from and it is sung by .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Jagdev Bhambri. This song was released on 01 Jan 2018.
Tere jhuthe waade ka aitbaar kiya
Tere jhuthe waade ka aitbaar kiya
Apne nanhe se dil ko beqaraar kiya
Apne nanhe se dil ko beqaraar kiya
Tere jhuthe waade ka aitbaar kiya
Tere jhuthe waade ka aitbaar kiya


Haaye dildaar pehle iqraar
Phir ye inkar kaisa ye pyar
Laakh apnate na ya
Phir thukraate na itna
Tadpaate na itna tarsaate na
Mera kya haal hai ye teri bala
Jaane ab toh sakhiyan bhi
Mujhe dene lagi taane
Aise zaalim se tune
Aise jhuthe se tune
Aise qaatil se tune kyun pyar kiya
Aise zaalim se tune kyun pyar kiya
Tere jhuthe waade ka aitbaar kiya


Phul bhi laai kaliyan bhi laai
Sej armaan ki maine sajaai
Apni zulfon mein maine moti piroye
Gore haatho mein maine mehandi lagai
Bujh gayee shama aur aankho mein
Dhuaan chhaya neend
Pal bhar ke liye aai na tu aaya
Maine raato mein haaye haaye
Suni raato mein haaye
Kali raato mein tera intezaar kiya
Maine raato mein tera intezaar kiya
Tere jhuthe waade ka aitbaar kiya


Tere qurbaan baat meri maan
Dil ke armaan ab toh pehchaan
Dil ko samjhaaun kya
Gham ko behlaaun kya
Zulfein suljhaaun kya
Jholi phailaaun kya
Gar dawaa maangungi toh
Dard badha dega khaakh mein
Meri jawaani ko milaa dega
Tune jeena bhi mera
Aansu peena bhi mera
Daaman seena bhi mera dushwaar kiya
Tune jeena bhi mera dushwaar kiya
Apne nanhe se dil ko beqaraar kiya
Apne nanhe se dil ko beqaraar kiya
Tere jhuthe waade ka aitbaar kiya
Tere jhuthe waade ka aitbaar kiya.