Sunaaun kyaa main gam apanaa song is from and it is sung by .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Mehboob Khan. This song was released on 01 Jan 2018.
sunaaun kyaa mai gam apanaa
zubaan tak laa nahi sakta
jo gaanaa chaahata hai dil
wohi mai gaa nahi sakta
wohi mai gaa nahi sakta
sunaaun kyaa

mile hai gair se hans kar
wo mere saamane haaye
wo mere saamane haaye
lagi hai thes wo dil par
ki mai batalaa nahi sakta
ki mai batalaa nahi sakta
sunaaun kyaa mai gam apanaa
zubaan tak laa nahi sakta
sunaaun kyaa

meri hasarat bhari nazaro ko
ab tak jo nahi samajhaa
use mai dard-e-dil apna
kabhi samajhaa nahi sakta
kabhi samajhaa nahi sakta
sunaaun kyaa mai gam apanaa
zubaan tak laa nahi sakta
sunaaun kyaa

siwaa tere bahut hai
husn waale bhi zamaane me
husn waale bhi zamaane me
magar mushkil ye hai ab dil
kisi par aa nahi sakta
kisi par aa nahi sakta
sunaaun kyaa mai gam apanaa
zubaan tak laa nahi sakta
sunaaun kyaa