Sapanon men aanaa chhed chhed jaanaa song is from and it is sung by and .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
sapanon men aanaa chhed chhed jaanaa
siikhaa kahaan se mere balam ne
hai ik navelii naar alabelii
hans ke lutaayaa dil jis pe ham ne
dol gayii duniyaa merii
terii nazar jo jhukii -2
aaj huii tujh ko khabar
main to (kab se terii ho chukii) -2
rah kar nazar men
aankhon ke ghar men
ye bhii na jaanaa bhole priitam ne
sapanon men aanaa
jiit liyaa ham ne jahaan
tuu jo hamaaraa huaa -2
dekh liyaa jab se tujhe
jiinaa gavaaraa huaa -2
jo kuchh thaa meraa
aaj huaa teraa
kismat badal lii aapas men ham ne
sapanon men aanaa
matavaalii terii adaa
man ko mere bhaa gayii -2
nazaron se nazaren milii
niind aankhon men aa gayii -2
chanchal mastaanii
chaunkii javaanii
kuchh is tarah se dekhaa sanam ne
jo kuchh thaa meraa aaj huaa teraa
kismat badal lii aapas men ham ne