Rehmat zara song is from and it is sung by and .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Bunty Walia, Jaspreet Singh Walia. This song was released on 16 Jul 2010.
Ik pal mila kabhi khushnuma
Ik pal mila kabhi gumzada
Ik pal rahin kabhi khairyat
Ik pal hua kabhi haadsa
Mausam kuch anjaane
Aise mile yahaan
Dil ko jo de gaye khamoshiyan
Mausam kuch pehchaane
De gaye sargoshiyan
Yun hi raatein dhalti hain
Yun hi hoti subah
Rehmat zara kar de khuda
Rehmat zara hum
Par tu kar de khuda


Ik pal mila kabhi khushnuma
Ik pal mila kabhi gumzada
Ik pal rahin kabhi khairyat
Ik pal hua kabhi haadsa


Umre katt ti rehti hain
Dhoop kabhi baarish mein
Gum ki rut bhi aati hain
Khushiyon ki khwaaish mein
Aksar lamhe katt te hain
Chaahat ya ranjish mein
Har dum kaliyaan khilti
Hain kaaton ki bandish mein
Ik pal kabhi sukun hai
Ik pal kabhi hai bekali
Ik pal kabhi junoon hai
Ik pal kabhi hai bebasi


Yeh hi azal se hota raha hai
Yun hi jeeya har ik insaa
Rehmat zara kar de khuda
Rehmat zara hum
Par tu kar de khuda


Mausam kuch anjaane
Aise mile yahaan
Dil ko jo de gaye khamoshiyan
Mausam kuch pehchaane
De gaye sargoshiyan
Yun hi raatein dhalti hain
Yun hi hoti subah
Rehmat zara kar de khuda
Rehmat zara hum
Par tu kar de khuda.