Akela Hu Main (Title) Lyrics - Mohammed Irfan | Mohammad Irfan

2015

Lyrics

Akela hu main, akeli hai zindagi
Bas tumhari chahte, bas tumhari chahte
Mere jismo jaa ko tumhari jarurate
Bas tumhari chahte, bas tumhari chahte

Tumhare liye hi to seene mein dhadkan hai
Tumhare liye hi to saanso mein tadpan hai
Jo tumhi nahi ho to kuch bhi nahi hai
Phoolo mein khushbu hai na, kanto me ranjish hai
Tumhi meri pyas ho, tumhi meri bandagi
Bas tumhari chahte, bas tumhari chahte

Musafir hu main, tu meri manzil hai
Khuda se jo mangi maine tu hi wo mannat hai
Sajda karu main, mangu duaaye
Mere khuda tu mujhpe itna karam kar de
Mere armaano ki tu hi to khwahish hai
Bas tumhari chahte, bas tumhari chahte
Akela hu main, akeli hai zindagi.