raham kar aasamaaN, raham kar aasamaaN Lyrics - Pradeep Kumar | Vyjayantimala | Lata Mangeshkar
1956
Lyrics
yah kaisaa tuufaan uthaa hai mere ghar men aaj
tuut tuut kar bikhar rahaa hai mere pyaar kaa taaj
raham kar aasamaan, raham kar aasamaan
raham kar aasamaan, raham kar aasamaan
aaj mitane lagii pyaar kii dasataan
merii duniyaa ke jalate diye na bujhaa
rok le, rok bhii le yah zaharii havaa
yuun na bar_baad kar, yuun na bar_baad kar
do dilon kaa jahaan
raham kar aasamaan
aaj kii raat kaa jo saveraa hu_aa
duur nazaron se jo chaand meraa hu_aa
bad_du_aa duungii main tuu pighal jaayegaa
aah merii lagegii tuu jal jaayegaa
saath mere mitegaa teraa bhii nishaan
beraham aasamaan, beraham aasamaan
beraham aasamaan
tuut tuut kar bikhar rahaa hai mere pyaar kaa taaj
raham kar aasamaan, raham kar aasamaan
raham kar aasamaan, raham kar aasamaan
aaj mitane lagii pyaar kii dasataan
merii duniyaa ke jalate diye na bujhaa
rok le, rok bhii le yah zaharii havaa
yuun na bar_baad kar, yuun na bar_baad kar
do dilon kaa jahaan
raham kar aasamaan
aaj kii raat kaa jo saveraa hu_aa
duur nazaron se jo chaand meraa hu_aa
bad_du_aa duungii main tuu pighal jaayegaa
aah merii lagegii tuu jal jaayegaa
saath mere mitegaa teraa bhii nishaan
beraham aasamaan, beraham aasamaan
beraham aasamaan