Pyar Ki Vadiyan De Rahi Hai Lyrics - Jaanwar | Pran | Nirupa Roy | Pradeep Kumar | Kishore Kumar
in Movies
Watch the Video
Song Information
Pyar ki vadiyan de rahi hai song is from Jaanwar (1983) and it is sung by Kishore Kumar.It stars Pran, Nirupa Roy, Pradeep Kumar, Prem Chopra in leading roles. This song is penned by Majrooh Sultanpuri and composed by Laxmikant Pyarelal. It is produced by Pardyuman Mohla. This song was released on 15 Apr 1983.
Lyrics
Pyar ki vadiyan de rahi hai sada
Pyar ki vadiyan de rahi hai sada
Kho gaye tum kaha ab to aa jao na
Phul haste nahi panchhi gate nahi
Phul haste nahi panchhi gate nahi
Ik tumhare bina ab to aa jao na
Pyar ki vadiyan de rahi hai sada
Yad hoga tumhe apna dil harke
Bol sikhe the tumne yahi pyar ke
Yad hoga tumhe apna dil harke
Bol sikhe the tumne yahi pyar ke
Ye wahi hai jagah hamse pahle pahal
Ye wahi hai jagah hamse pahle pahal
Tum mile the jaha ab to aa jao na
Pyar ki vadiyan de rahi hai sada
Ye dahakta hua chand taro ka ban
Ye tumhare hi gham mein sulagti pawan
Ye tumhare hi gham mein sulagti pawan
Jal na jaye ye sapno ko bagia kahi
Jal na jaye ye sapno ko bagia kahi
Uth raha hai dhua ab to aa jao na
Pyar ki vadiyan de rahi hai sada
Laut aao laut aao ke aana hai tumko yahi
Laut aao ke aana hai tumko yahi
Tum jaha ho tumhari wo duniya nahi
Wo duniya nahi
Geet ke roop mein tumse fariyad hai
Geet ke roop mein tumse fariyad hai
Samjho dil ki juba ab to aa jao na
Pyar ki vadiyan de rahi hai sada
De rahi hai sada, de rahi hai sada.