prem kii nayyaa ko milaa hai prem nadii kaa kinaaraa Lyrics - Wasti | Leela Desai | Shahu Modak | Jagmohan | Kalyani Das

1940

Lyrics

prem kii naiyaa ko milaa hai
prem nadii kaa kinaaraa
miithe raag pavan hai gaatii
gaalon kaa hai taar bajaatii
ham donon ko lekar naache????
naache jiivan jamunaa-dhaaraa
jiivan jamunaa-dhaaraa
rahen tumhaare nain rasiile
nain milaa ke amrit pii le
aaj kii ritu hai badii suhaanii
saath men priitam pyaaraa
aandhii se bhii bujhe nahiin
sachchii priit kii baatii
mil jaate hain aake
ek din bichhade saathii
prem milan kii jiit huii hai
birahaa kaa dukh haaraa