Chupke Hi Chupke Na Jaane Lyrics - 1857 | Nigar Sultana | Suraiya | Menaka Devi | Khan Mastana | Rajkumari Dubey
in Movies
Watch the Video
Song Information
Chupke hi chupke na jaane song is from 1857 (1946) and it is sung by Khan Mastana and Rajkumari Dubey.It stars Wasti, Suraiya, Nigar Sultana, Surendra in leading roles. This song is penned by Anjum Pilibhiti and composed by Sajjad Hussain. This song was released on 23 Dec 2017.
Lyrics
Chupke hi chupke
Chupke hi chupke na jaane
Kya ishaare ho gaye
Kya ishaare ho gaye
Ham to unke ho gaye
Aur wo hamaare ho gaye
Haan hamaare ho gaye
Chupke hi chupke
In bhanwron ki ulfat mein
Naa naa meri aali
Dil khot se bharpoor
Wafa se hain ye khaali
Dete hain daga mil ke
Mohabbat mein niraali
Kasme hain ye jhoothhi
Lagaawat hai ye jaali
Unki duniyaa lut gayi
Jo inke pyaare ho gaye
Inke pyaare ho gaye
Chupke hi chupke
Chupke hi chupke
Haan haan
Chupke hi chupke
Lekin meri sarkaar
Ye baaten hain khayaali
Bajti nahin hargiz kabhi
Ik haath se taali
Ham wo hain
Ke dil de ke bhi
Rehte hain sawaali
Uspar bhi ye kehto ho
Mohabbat se hain khaali
Zindagi bhar ke liye
Haan zindagi
Zindagi bhar ke liye
Hum to tumhaare ho gaye
Haan tumhaare ho gaye
Haan haan tumhaare ho gaye
Haan tumhaare ho gaye
Chupke hi chupke
Kya kare sa re ga pa ma pa
Kya kare sa re ga ga ma pa
Dha ni sa sa sa ni dha ni sa
Ni dha pa dha pa ma pa ga
Ma dha pa dha pa ma pa dha
Haa aa aa haa aa aa haa aa aa
Chupke hi chupke
Na jaane na jaane
Na jaane kya ishaare ho gaye
Kya ishaare ho gaye
Chupke hi chupke
Lalchaaye jo aankh
Teri dekh ke surat
Dam bharte hain ulfat ka
Jo karte hain mohabbat
Ik roz yehi laayenge
Sar pe tere aafat
Aafat bhi wo aafat
Ki kahen jisko qayamat
Inki baaton mein jo aaye
Besahaare ho gaye
Besahaare ho gaye
Chupke hi chupke
Chupke hi chupke
Chupke hi chupke
Haan haan
Chupke hi chupke
Hai hamse hi duniya mein
Tere husn ki shohrat
Gar ham na huyen
Poojegaa phir kaun ye surat
Mil jaao mohabbat se
Karo ab na baghaawat
Kab tak ye sitam
Ab to karo ham pe inaayat
Pyaar se kehdo
Ae phoolon pyaar se
Pyaar se kehdo
Ae phoolon
Ham tumhaare ho gaye
Haan tumhaare ho gaye
Haan haan tumhaare ho gaye
Haan tumhaare ho gaye
Chupke hi chupke
Ham to unke ho gaye
Aur wo hamaare ho gaye
Haan hamaare ho gaye
Haan haan hamaare ho gaye
Haan hamaare ho gaye
Zindagi bhar ke liye
Ham to tumhaare ho gaye
Haan tumhaare ho gaye
Haan haan tumhaare ho gaye
Haan tumhaare ho gaye
Chupke hi chupke.