prem kaa hai is jag men panth niraalaa Lyrics - Saigal | Leela Desai | K L Saigal

1937

Lyrics

prem kaa hai is jag men panth niraalaa
prem to hai is duniyaa men kaaran duhkh kaa
premii ko hotaa hai anubhav sukh kaa
shiital pavan hai usako prem kii jvaalaa (2)
prem kaa hai is jag men panth niraalaa
prem japan kii jag men riit hai nyaarii
asuvan ke manakon par prem pujaarii
ro-ro kar japataa hai prem kii maalaa (2)
prem kaa hai is jag men panth niraalaa
paagal premii ab tuu kyon rotaa hai, prem kaa to aisaa hii phal hotaa hai (2)
pahale kaahe na tuune dekhaa-bhaalaa (3)