O Mere Dil Ke Chain Lyrics - Mere Jeevan Saathi | Tanuja | Rajesh Khanna | Sujit Kumar | Kishore Kumar
in Movies
Watch the Video
Song Information
O mere dil ke chain song is from Mere Jeevan Saathi (1972) and it is sung by Kishore Kumar.It stars Tanuja, Rajesh khanna, Sujit Kumar and Nazir Hasain in leading roles. This song is penned by Majrooh Sultanpuri and composed by R D Burman. It is produced by Vinod Shah. This song was released on 19 Sep 1972.
Lyrics
O mere dil ke chain
Chain aaye mere dil ko dua keejiye
O mere dil ke chain
Chain aaye mere dil ko dua keejiye
Apna hi saya dekh ke tum
Jaan-e-jahan sharma gaye
Abhi to yeh pehli manzil hai
Tum to abhi se ghabra gaye
Mera kya hoga socho to zara
Haaye aise na aahein bhara keejiye
O mere dil ke chain
Chain aaye mere dil ko dua keejiye
Aapka armaan aapka naam
Mera tarana aur nahin
In jhukti palkon ke siwa
Dil ka thikana aur nahin
Janchta hi nahi aankhon mein koyi
Dil tumko hi chaahe to kya keejiye
O mere dil ke chain
Chain aaye mere dil ko dua keejiye
Yoon to akela bhi aksar
Gir ke sambhal sakta hoon main
Tum jo pakad lo hath mera
Duniya badal sakta hoon main
Manga hai tumhein duniya ke liye
Ab khud hi sanam faisla keejiye
O mere dil ke chain
Chain aaye mere dil ko dua keejiye
O mere dil ke chain
O mere