Meri Yaad Mein Tum Lyrics - Meena Kumari | Usha Kiran | Manhar Desai | Talat Mahmood

1951

Lyrics

Meri yaad mein tum na aansu bahana
Na ji ko jalana, mujhe bhul jana

Samjhna ke tha ek sapna suhana
Vo guzara zamana, mujhe bhul jana
Meri yaad mein

Juda meri manzil, juda teri rahe
Juda meri manzil, juda teri rahe

Milegi na ab teri meri nigahe
Mujhe teri duniya se hai dur jana

Na ji ko jalana, mujhe bhul jana
Meri yaad mein

Ye ro ro ke kahta hai tuta hua dil
Ye ro ro ke kahta hai tuta hua dil

Nahi hu mai teri mohabbat ke kabil
Mera naam tak apne lab pe na lana

Na ji ko jalana, mujhe bhul jana
Meri yaad mein tum na aansu bahana
Na ji ko jalana, mujhe bhul jana

Samjhna ke tha ek sapna suhana
Vo guzara zamana, mujhe bhul jana
Meri yaad mein.