Mere dushman mere bhai song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by J.P. Dutta. This song was released on 13 Jun 1997.
Jang to chand roz hoti hai
Zindagi barson talak roti hai

Sannate ki gehri chhanv
Khamoshi se jalte gaanv
Yeh nadiyon par toote hue pul
Dharti ghayal aur vyaakul
Yeh khet bamon se jhulse hue
Yeh khaali raste sehame hue
Yeh maatam karta sara sama
Yeh jalte ghar yeh kala dhuan
Yeh jalte ghar yeh.. kala dhuan..
O... o..

Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Mujhse tujhse hum dono se
Yeh jalte ghar kuchh kehte hain
Barbadi ke saare manzar kuchh kehte hain haaye..
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
O ho ho.. o ho ho..

Baarood se bojhal saari fiza
Hai maut ki boo failaati hava
Zakhmon pe hai chhaai lachaari
Galiyon mein hai phirti beemari
Yeh marte bachche haathon mein
Yeh Maaon ka rona raaton mein
Murda basti, murda hai nagar
Chehare patthar hain, dil patthar
Chehare patthar hain... dil patthar..
O o.. o ho ho..

Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Mujhse tujhse hum dono se
Sun yeh patthar kuchh kehte hain
Barbadi ke saare manzar kuchh kehte hain haaye..
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
O ho ho.. o ho ho..

Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Chehron ke dilon ke yeh patthar, yeh jalte ghar
Barbadi ke saare manzar
Sab mere nagar, sab tere nagar yeh kehte hain
Is sarhad par phunphakarega kab tak nafrat ka yeh ajagar
Kab tak nafrat ka yeh ajgar
Is sarhad par phunphakarega kab tak nafrat ka yeh ajagar
Hum apne apne kheton mein
Gehun ki jagah, chaawal ki jagah
Yeh bandookein kyon bote hain
Jab dono hi ki galiyon mein
Kuchh bhookhe bachche rote hain
Kuchh bhookhe bachche rote hain
Aa khaayein kasam..
Ab jang nahi hone paaye
Aa khaayein kasam
Ab jang nahi hone paaye
Aur us din ka rasta dekhein
Jab khil uthe tera bhi chaman
Jab khil uthe mera bhi chaman
Tera bhi watan, mera bhi watan
Mera bhi watan, tera bhi watan
Tera bhi watan, mera bhi watan
O.. ho ho..

Mere dost mere bhai mere humsaaye
Mere dost mere bhai mere humsaaye
O.. ho ho..
Aa.. aa..