Mara jisko mohabbat ne mara song is from and it is sung by and .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Pahlaj Nihalani. This song was released on 25 Jul 1989.
Mara jisko mohabbat ne mara
Maut mare use kya dobara
Ho mmara jisko mohabbat ne mara
Maut mare use kya dobara
Pyar khoke yaha jeena to kya
Hamko marna nahin hain gawara
Aaja aaja sathi aaja aaja
Aaja aaja sathi aaja aaja


Mere to har sans ka malik
Hai ab pyar ke naam ki
Yaar jo mera ho na saka to
Ye duniya kis kam ki
Jab tak sans chalegi jalegi
Dil mein shama pyar ki
Mit jaye hum par na mite
Dil se mohabbat pyar ki
Pyar julmo ne harega kaise
Pyar to us khuda se na hara
Mara jisko mohabbat ne mara
Maut mare use kya dobara
Aaja aaja sathi aaja aaja
Aaja aaja sathi aaja aaja


Sadiyo se ye pyar ki dushman
Pade hai pichhe pyar ke
Hum bhi denge dil ki bazi
Ja ki bazi har ke
Deewaro mein kaid na ho
Na pyar badnhe zanjeer se
Deewane dil mil jate hai
Tufano ko chir ke
Apne sagar se milke rahegi
Kab se pyasi ye ganga ki dhara
Mara jisko mohabbat ne mara
Maut mare use kya dobara
Aaja aaja sathi aaja aaja
Aaja aaja sathi aaja aaja


Kasam jo li hain dil ki hamne
Kasam wo kaise tod doon
Maut ek dar se kasie tere
Pyar ka daman chhod doon
Tu jo mere sath to main
Waqt ka rukh bhi mod doon
Pyar ke jalim har dusman ka
Maut se rista jod doon
Jeena hai to saath jiyenge
Marna hai to saath marenge
Mujhse chinega tujhse koi to
Funk dunga main sansar sara
Pyar julmo ne harega kaise
Pyar to us khuda se na hara
Mara jisko mohabbat ne mara
Maut mare use kya dobara.