Kya huva jo laree chhutee song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Gurunath. This song was released on 18 May 2007.
wo kehte hai na, jo hota hai acche ke liye hota hai
galat kehte hai

kismat ka khel hai sara, phirta tha mai aawara
ye kya se kya ho gaya
char din ki jindagani, har pal ek nayi kahani
kya tha, mai kya bana gaya
kya hua jo lari chhuti, jivan ki gadi luti
khwaab hai to mujhko na jaga
jindagi ek pal me saali, yu palat gayi hamari
jhoot hai to mujhko na bata

mumbai suna tha yaha
aadmi puri jindagi apni kismat
slow track se fast track lane me nikal deta hai
par dhayi ghante me meri kismat
aise slow track se fast track par aa jayegi
ye maine kabhi socha nahi tha
saja maja ban jayegi, ye bhi kabhi socha nahi tha
last local kya chhuti, sala kismat patri par aa gayi

kar lo jo bhi karna hai, hota hai jo hona hai
gujra to pal ye phir na aayega
kya bura hai kya bhala hai, waqt hi shayad khuda hai
ho jane do phir dekha jayega
kya hua jo lari chhuti, jivan ki gadi luti
khwaab hai to mujhko na jaga
jindagi ek pal me saali, yu palat gayi hamari
jhoot hai to mujhko na bata

wo kehte hai na, jo hota hai acche ke liye hota hai
sahi kehte hai, jivan ki gadi luti