Kushi achchhi hai, qisamat ne hamako zulm uthaanaa sikhaa diyaa song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Rajkamal Kalamandir. This song was released on 31 Dec 1954.
khushi acchi hai hame aur na malal accha hai
hamko jis hal me rakhe wahi haal accha hai

qismat ne hamko zulm uthana sikha diya
qismat ne hamko zulm uthana sikha diya
dard-e-jigar ko dil me chupana sikha diya
dard-e-jigar ko dil me chupana sikha diya
qismat ne hamko zulm uthana sikha diya

ab to musibato se bhi rahat si ho gai
ab to musibato se bhi rahat si ho gai
kuch itni khai thokare adat si ho gai
dar-dar ki hamko thokare khana sikha diya
dar-dar ki hamko thokare khana sikha diya
qismat ne hamko zulm uthana sikha diya

dil me jo tis utthe to ahe na bhar sake
dil me jo tis utthe to ahe na bhar sake
duniya ke tir khate rahe, uf na kar sake
duniya ke tir khate rahe, uf na kar sake
apne lahu se pyas bujhana sikha diya
apne lahu se pyas bujhana sikha diya
qismat ne hamko zulm uthana sikha diya
qismat ne hamko zulm uthana sikha diya