Kajre ki baati song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Tarachand Barjatya. This song was released on 12 Jan 1979.
Saajan yeh mat jaaniyo tum bichhure mohe chain
Jaise ban ki laakdi sulgat hoon din rain

Aali main haar gayi ankhiyan ke khel mein
Kajre ki baati ansuan ke tel mein
Aali main haar gayi ankhiyan ke khel mein
Kajre ki baati

Chanchal se nainon mein kajal ko aanj kar
Bikhri in alkon mein rajni ko baandh kar
Sindoori aanchal mein taaron ko taank kar
Adhron ke pyaalon mein chumban ko dhaal kar
Alka kar sabke man preet ki gulel mein
Maari na jao kahin apne is khel mein
Sapne hi toot gaye is taal-mel mein
Aali main haar gayi ankhiyan ke khel mein
Kajre ki baati

Tan ki suraahi mein yauvan ki haala
Chivan mein madhoshi angon mein jwala
Chhal chhal chhal chhalke jyun madra ka pyala
Gori tu laage hai poori madhushala
Nasha hi nasha hai is angoori bel mein
Pyala aur madira in donon ke mel mein
Birha ke phool hain jeevan ki bel mein
Aali main haar gayi ankhiyan ke khel mein
Kajre ki baati