Kaise main aaun piya song is from and it is sung by .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Filmistan Private Ltd.. This song was released on 01 Jan 2018.
Kaise main aaun
Piya paas tumhare
Chand bhi hai bairi mera
Pata na bataye tera
Raah na dikhaye yeh sitare
Kaise main aaun
Piya paas tumhare
Paas tumhare


Akhiyon men asuvan
Deep jalaun main
Phir bhi balam teri
Raah na paaun
Jaayen bata de kahaan
Dard ke mare
Dard ke mare
Kaise main aaun
Piya paas tumhare
Paas tumhare


Kaun ghadi o saiyan
Lagi tose nain re
Bhul ke na paaya
Meri preet ne chain re
Do din hans ke na
Saath guzaare
Saath guzare
Kaise main aaun piya
Paas tumhare
Paas tumhare


Yaad sataye teri
Dil ghabaraye re
Dekh akeli mohe
Raat daraye re
Tadap tadap jiya
Tujh ko pukare
Tujh ko pukare


Kaise main aaun piya
Paas tumhare
Paas tumhare
Chand bhi hai bairi mera
Pata na bataye tera
Raah na dikhaye yeh sitare
Kaise main aaun piya
Paas tumhare
Paas tumhare.