Jata Hu Main Mujhe Ab Na Bulana, Meri Yaad Bhi Apne Dil Me Na Lana Lyrics - Daadi Maa | Kashi Nath | Mohammed Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Jata hu main mujhe ab na bulana, meri yaad bhi apne dil me na lana song is from Daadi Maa (1966) and it is sung by Mohammed Rafi.It stars and Kashi Nath in leading roles. This song is penned by Majrooh Sultanpuri and composed by Roshanlal Nagrath (Roshan). It is produced by L V Prasad. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
jata hu mai mujhe ab na bulana
meri yaad bhi apne dil me na lana
mera hai kya meri manzil na koi thikana
jata hu mai
pyasa tha bachpan jawani bhi meri pyasi
pichhe gamo ki gali aage udasi
pyasa tha bachpan jawani bhi meri pyasi
pichhe gamo ki gali aage udasi
ho mai tanhayi ka rahi, koi apna na begana
mujhe ab na bulana
meri yaad bhi apne dil me na lana
mera hai kya meri manzil na koi thikana
jata hu mai
mujhko hansi bhi mili saye liye dukh ke
khul ke na roya kisi kandhe pe jhuk ke
mujhko hansi bhi mili saye liye dukh ke
khul ke na roya kisi kandhe pe jhuk ke
ho mera jiwan bhi kya hai, adhura sa ik afasana
mujhe ab na bulana
meri yaad bhi apne dil me na lana
mera hai kya meri manzil na koi thikana
jata hu mai
tha pyar ka ik diya wo bhi bujha dala
dhundhala sa bhi kahi kyu ho ujala
tha pyar ka ik diya wo bhi bujha dala
dhundhala sa bhi kahi kyu ho ujala
ho ab un yaado se kah do, meri duniya me na aana
mujhe ab na bulana
meri yaad bhi apne dil me na lana
mera hai kya meri manzil na koi thikana