Janam janam ke saathi song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. It is produced by Mamta Pathrod, Hemant Dhanetwal, Aditya Raj Singh, Gaurav Chopra. This song was released on 31 Aug 2012.
Hum tum, hum tum
Janam janam ka apna
Hai yeh pyaar hai yeh pyaar
Bole yeh mehandi
Bole yeh bindiya
Bole yeh singar x (2)

Main teri Radha, tu mera Krishna
Aadhi adhoori milan ki hai trishna
Main hoon sawan, tu hai badaria
In bahon mein gori hai meri dunia
Saanson ki sargam bole hai hardam
Bole payal ki jhankar

Ho janam janam ke saathi
Hum tum, hum tum
Janam janam ka apna
Hai yeh pyaar hai yeh pyaar
Bole yeh mehandi
Bole yeh bindiya
Bole yeh singar

Main hoon dhool dhara ki
Tu hai pawan basanti
Kabhi na tute sajna
Dori man se man ki
Raha jo pyaar adhoora
Lenge janam dobara
Mauj hoon main sagar ki
Tu nadiya ki dhara
Bole yeh dharti
Bole yeh ambar
Bole yeh man ka sitaar

Janam janam ke saathi
Hum tum, hum tum
Janam janam ka apna
Hai yeh pyaar hai yeh pyaar
Bole yeh mehandi
Bole yeh bindiya
Bole yeh singar
Bole yeh singar