LyricsTashan

Jaaneman Jaaneman Lyrics - Jaaneman | Dev Anand | Kishore Kumar

in Movies

Watch the Video

Song Information

Jaaneman jaaneman song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Dev Anand. This song was released on 30 Jul 1976.

Lyrics

hmm jaan-e-man jaan-e-man
jaan-e-man jaan-e-man
hm hm hm, hm hm hm
jaan-e-man jaan-e-man
jaan-e-man kisi ka naam nahin
phir bhi yeh naam honthon pe na ho
aisi koi subah nahin, shaam nahin
jaan-e-man jaan-e-man -2

[ mainne sifr khayaalon se, khwaabon ki sej sajaayi hai
dil ki khaali deewaron par ik tasveer banaayi hai ] 2
tasveeron pe marta hoon, waqt guzaara karta hoon
main mehboob ki galiyon ka, koi aashiq badnaam nahin
jaan-e-man jaan-e-man -2

kal ki baat khuda jaane par aaj talaq woh baat nahin -2
dil par baadal chaaye hain par aankhon mein barsaat nahin
aisa main deewana hoon, aisa main mastaana hoon
pyaas to hai in honthon par, lekin haathon mein jaam nahin
jaan-e-man jaan-e-man -2
jaan-e-man kisi ka naam nahin
phir bhi yeh naam honthon pe na ho
aisi koi subah nahin, shaam nahin
jaan-e-man jaan-e-man -2
hm hm hm, hm hm hm -2

Related Songs

More songs from Jaaneman (1976)
More songs of Dev Anand
More songs of Kishore Kumar