Hain Dil Mein Lagan Lyrics - Yalgaar | Manisha Koirala | Sanjay Dutt | Feroz Khan | Mohammed Aziz | Nitin Mukesh Chand Mathur
in Movies
Watch the Video
Song Information
Hain dil mein lagan song is from Yalgaar (1992) and it is sung by Mohammed Aziz, Nitin Mukesh Chand Mathur and Suresh Wadkar.It stars Manisha Koirala, Sanjay Dutt, Feroz Khan and Kabir Bedi in leading roles. This song is penned by Sudarshan Faakir and composed by Channi Singh. It is produced by Feroz Khan. This song was released on 23 Oct 1992.
Lyrics
Baar-e-duniya mein raho
Shaad ke, nashaad raho
Aise kuchh karke chalo,
Karke chalo ya ke
Bahut yaad raho,
Yaad raho, yaad raho
Hain dil mein lagan, ae mere vatan
Yeh jaan nichhaavar karne ki
Hain dil mein lagan, ae mere vatan
Ye jaan nichhaavar karne ki
Kya baat hain aise jeene ki
Kyaa shaan hain aise marne ki
Hain dil mein lagan, ae mere vatan
Ye jaan nichhaavar karne ki
Hain maut se rishta jeevan ka
Paida jo hua wo marta hain
Is janam-janam ke saathi se
Nadan hain wo jo darta hain
Veero ne reet nibhai hain
Veero ne reet nibhai hain
Marne se mohabbat karne ki
Kya baat hain aise jeene ki
Kya baat hain aise jeene ki
Kya shaan hain aise marne ki
Hai dil mein lagan, ae mere vatan
Ye jaan nichhaavar karne ki
Ye zalim daakoo hatyare
Desh aur insaan ke dushman hai
Yaha vaar karenge ham in par
Ye dharm-iman ke dushman hai
Khaate hain kasam,
Is desh mein ham
Khaate hain kasam,
Is desh mein ham
Ik jashn-e-bahaaran karne ki
Kya baat hain aise jeene ki
Kya baat hain aise jeene ki
Kya shaan hain aise marne ki
Hain dil mein lagan, ae mere vatan
Ye jaan nichhaavar karne ki
Ye rut hain pyaar mohabbat ki
Har mod pe husn ke jalve hain
Mitti mein mahak hain phoolon ki
Zarron mein chand sitare hain
Armaan hain pyaar mein jeene ka
Armaan hain pyaar mein jeene ka
Hasrat hain husn pe marne ki
Kya baat hain aise jeene ki
Kya baat hain aise jeene ki
Kya shaan hain aise marne ki
Hain dil mein lagan, ae mere vatan
Ye jaan nichhaavar karne ki.