Hai Prit Jaha Ki Rit Sada (Jab Zero Diya Mere Bharat Ne) Lyrics - Purab Aur Pachhim | Pran | Rajendra Nath | Saira Banu | Mahendra Kapoor
in Movies
Watch the Video
Song Information
Hai prit jaha ki rit sada (jab zero diya mere bharat ne) song is from Purab Aur Pachhim (1971) and it is sung by Mahendra Kapoor.It stars Pran, Rajendra Nath, Saira Banu, Manoj Kumar in leading roles. This song is penned by Indeevar (Shyamalal Babu Rai) and composed by Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah. It is produced by Manoj Kumar. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
jab zero diya mere bharat ne
bharat ne mere bharat ne
duniya ko tab ginti aai
taaro ki bhaashhaa bharat ne
duniya ko pahle sikhalaayi
deta na dashmalav bharat to
yu chand pe jana mushkil tha
dharti aur chaand ki duri ka
andaza lagana mushkil tha
sabhytaa jahaa pahle aai
pahle janami hai jahaan pe kalaa
apna bharat vo bharat hai
jiske pichhe sansaar chala
sansaar chala aur aage badhaa
yun aage badhaa, badhta hi gayaa
bhagvaan kare ye aur badhe
badhtaa hi rahe aur phule-phale
badhtaa hi rahe aur phule-phale
hai prit jaha ki rit sada, hai prit jaha ki rit sada
hai prit jaha ki rit sada, mai git waha ke gata hu
bharat ka rahne wala hu, bharat kie baat sunata hu
hai prit jaha ki rit sada
kaale gore kaa bhed nahi, har dil se hamara naata hai
kuchh aur na aata ho hamko, hame pyaar nibhana aata hai
jise maan chuki saari duniya, ho jise maan chuki saari duniya
mai baat, mai baat wahi dohraata hoo
bharat ka rahne wala hu, bharat kie baat sunata hu
hai prit jaha ki rit sada
jite ho kisi ne desh toh kya, hamne toh dilo ko jita hai
jaha raam abhi tak hain nar me, nari me abhi tak sita hai
itne pawan hain log jaha, ho itne pawan hain log jaha
mai nit nit, mai nit nit shish jhukaata hoo
bharat ka rahne wala hu, bharat kie baat sunata hu
itni mamta nadiyo ko bhi, jaha maata kah ke bulaate hai
itana aadar insaan toh kya, patthar bhi puje jaate hai
uss dharti pe maine janam liya
ho uss dharti pe maine janam liya, yeh soch
yeh soch ke mai itraata hoo
bharat kaa rahane waala hoo, bharat ki baat sunaata hoo
hai prit jaha ki rit sada