duniyaa hamaare pyaar kii yuuN hii javaaN rahe Lyrics - Karan Divan | Karan Divaan | Nargis Dutt | Lata Mangeshkar

1949

Lyrics

duniyaa hamaare pyaar kii yuun hii javaan rahe
main bhii vahiin rahuun meraa saajan jahaan rahe)-2
do din kii zindagii hai ise yuun guzaar de -2
ujadii huii ye pyaar kii raahen sanvaar de -2
ham tum yahaan rahe naa rahe is kaa gam nahiin
lekin hamaare pyaar kaa baakii nishaan rahe
main bhii vahiin rahuun meraa saajan jahaan rahe
duniyaa hamaare pyaar kii yuunhii javaan rahe
main bhii vahii rahuun meraa saajan jahaan rahe
duniyaa men chhod jaayenge ham vo nishaaniyaan -2
ban jaayengii jo pyaar kii miithii kahaaniyaan -2
duniyaa hamaare baad hamen yuun karegii yaad
do pyaar karane vaale hain par ek jaan rahe
main bhii vahiin rahuun meraa saajan jahaan rahe
duniyaa hamaare pyaar kii yuunhii javaan rahe
main bhii vahiin rahuun meraa saajan jahaan rahe
duniyaa hamaare pyaar kii