Duniya Se Masoom Lyrics - Jawab | Raaj Kumar | Prem Chopra | Farida Jalal | Vinod Rathod
in Movies
Watch the Video
Song Information
Duniya se masoom song is from Jawab (1995) and it is sung by Vinod Rathod.It stars Raaj Kumar, Prem Chopra, Farida Jalal, Anu Kapoor in leading roles. This song is penned by Hasrat Jaipuri and composed by Anu Malik. It is produced by Anuj Sharma. This song was released on 27 Jan 1995.
Lyrics
Duniya se masoom mohabbat
Kaise apna raaj chhupaye
Duniya se masoom mohabbat
Kaise apna raaj chhupaye
Jis par tera naam likha hain
Us kagaj se khushbu aaye
Duniya se masoom mohabbat
Kaise apna raaj chhupaye
Jis par tera naam likha hain
Us kagaj se khushboo aaye
Dil ye hamara cheer ke dekho
Dil pe tumhara naam likha hain
Aankhon mein meri dub ke dekho
Dil mein tumhara ye ghar basa hain
Ha naam se tere naam hamara
Ek din jhudega o mere yaara
Kaise bachogi kab tak chhupogi
Dhadkan ne meri tujhko pukara
Tujhko pukara
Kab nafrat hain itni saari
Pyar to kitna pyara hoga
Teri iss kaatil adaa par
Har aashiq dil haara hoga
Allah allah tauba tauba
In hotho se khushbu aaye
Jis par tera naam likha hain
Us kagaj se khushboo aaye
Gusse mein tere har cheez jhuki hai
Teri na mein haa hain jana
Hotho pe gaali muh pe mohabbat
Chhodo jee chhodo jhutha bahana
Bach bach ke humse kaise karogi
Pyar to ek din hoke rahega
Hum na kahi koi aur shahidi
Dil to tumhara leke rahega leke rahega
Are gussa tera chhadta jaaye
Pyar hamara badhta jaaye
Dheere dheere ye dil mera
Tujhpe pagal hota jaaye
Kaha jaha tu rakhde kadam
Un kadmo se khushboo aaye
Jis par tera naam likha hai
Us kagaj se khushbu aaye
Duniya se masoom mohabbat
Kaise apna raaj chhupaye
Jis par tera naam likha hain
Us kagaj se khushboo aaye.