Dekh meri ada song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Dekh meri ada huye lakho fida
Mujhpe marta hai sara zamana
Haye mujhpe marta hai sara zamana
Dekh meri ada huye lakho fida


Teer najro ka khali na jaye kabhi
Jise dekhu wo bachne na paye kabhi
Mast karni hu main jadugarni hu main
Jise chahu bana du deewana haye
Jise chahu bana du deewana
Ho dekh meri ada huye lakho fida


Meri mastani aankho mein solah singar
Meri lahrati zulfon mein jhume bahar
Kabhi talwar hu kabhi jhankar
Kabhi hu ek mitha tarana
Haye kabhi hu ek mitha tarana
Dekh meri ada huye lakho fida


Main chalu to zamana chale sath ji
Kabhi dil hu rakhe huye hath ji
Koi firki kahe koi barfi kahe
Bhed mera kisi ne na jana
Haye bhed mera kisi ne na jana
Ho dekh meri ada huye lakho fida
Dekh meri ada huye lakho fida
Mujhpe marta hai sara zamana
Haye mujhpe marta hai sara zamana
Ho dekh meri ada  huye lakho fida.