Chahaton Ki Duniya Mein Lyrics - Kya Yehi Pyaar Hai | Aftab Shivdasani | Jackie Shroff | Amisha Patel | Sabri Brothers | Iqbal
in Movies
Watch the Video
Song Information
Chahaton ki duniya mein song is from Kya Yehi Pyaar Hai (2002) and it is sung by Sabri Brothers and Iqbal-Afzal.It stars Aftab Shivdasani, Jackie Shroff, Amisha Patel, Sarfaraz Khan in leading roles. This song is penned by Jaliis Rashid and composed by Sajid Ali, Wajid Ali. It is produced by Javed Siddiqui. This song was released on 22 Mar 2002.
Lyrics
Pyar wafa hai, pyar sada hai
Pyar wafa hai, pyar sada hai
Pyar dua hai, pyar Khuda hai
Pyar yehi hai dekh deewane
Pyar yahan kise aisa mila hai
Chahaton ki duniya mein dekh aisa hota hai
Chahaton ki duniya mein dekh aisa hota hai
Ek pal jo hansta hai baar baar rota hai
Ek pal jo hansta hai baar baar rota hai
Kaante bichhe hain raahon mein
Aur manzil nahi koi
Tanhaiyon mein pyar ki shamil nahi koi
Jugnoo ki roshni bhi kahin aati nazar nahi
Toofan hi toofan hai saahil nahi koi
Itna andhera raahon mein yaara
Kiska bane ab kaun sahara
Itna andhera raahon mein yaara
Kiska bane ab kaun sahara
Ab na koi suraj hai, na koi savera hai
Ab na koi suraj hai, na koi savera hai
Ab na koi suraj hai, na koi savera hai
Chandni bhi roothi hai, door tak andhera hai
Chandni bhi roothi hai, door tak andhera hai
Gham ke siwa jahan mein bata insan ko kya mila
Toone banayi kyon yahan chahat mere Khuda
Paani ke bulbulon ki tarah tooti hain hasratein
Aati nahi kahin se bhi uski koi sada
Kaisi hai chahat, kaisi mohabbat
Kaisi hai uljhan, kaisi hai hasrat
Kaisi hai chahat, kaisi mohabbat
Kaisi hai uljhan, kaisi hasrat
Hasraton ki palkon pe chahaton ka mela hai
Hasraton ki palkon pe chahaton ka mela hai
Hasraton ki palkon pe chahaton ka mela hai
Dard to hazaron hain, aadmi akela hai
Dard to hazaron hain, aadmi akela hai
Pyar wafa hai, pyar sada hai
Pyar dua hai, pyar Khuda hai
Pyar yehi hai dekh deewane
Pyar yahan kise aisa mila hai
Chahaton ki duniya mein dekh aisa hota hai
Chahaton ki duniya mein dekh aisa hota hai
Ek pal jo hansta hai baar baar rota hai
Ek pal jo hansta hai baar baar rota hai
Yeh deewana deewana
Yeh deewana deewana
Yeh deewana deewana
Yeh deewana deewana
Sooli pe bhi chadhna padta hai
Sar ko bhi kataana padta hai
Sar ko bhi kataana padta hai
Kuchh bhi ho mohabbat mein lekin
Yeh karz chukana padta hai
Yeh karz chukana padta hai
Is raaz-e-mohabbat ko lekin
Koi bhi nahi samjha ab tak
Khud apne hi hathon se apni
Hasti ko mitana padta hai
Yeh deewana deewana
Yeh deewana deewana
Yeh deewana deewana
Yeh deewana deewana