Bewafa ja song is from and it is sung by .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Baldev Raj Chopra. This song was released on 06 Oct 1986.
Bewafa ja tera wada dekha
Bewafa ja tera wada dekha
Humne kal bhi tera rasta dekha
Bewafa ja tera wada
Dekha bewafa ja


Tune khayi thi na jane ki kasam
Umar bhar saath nibhane ki kasam
Zindagi bhar na bhulane ki kasam
Zindagi bhar na bhulane ki kasam
Teri kasmo ka bharosa dekha
Bewafa ja tera wada
Dekha bewafa ja


Dil ko barbade tamana karke
Rahe ulfat mein andhera karke
Kya mila pyar ko ruswa karke
Kya mila pyar ko ruswa karke
Humne bedard na tujhsa dekha
Bewafa ja tera wada
Dekha bewafa ja


Dil mein arman jagaye kyun the
Khawab aankho ko dikhaye kyun the
Tumko jana tha to aaye kyun the
Tumko jana tha to aaye kyun the
Gham hi ulfat ka nateeza dekha
Bewafa ja tera wada dekha
Bewafa ja tera wada dekha
Humne kal bhi tera rasta dekha
Bewafa ja tera wada
Dekha bewafa ja.