Baat Baat Me Rutho Na, Apne Aap Ko Luto Na Lyrics - Seema | Nutan | Shobha Khote | Lata Mangeshkar
in Movies
Watch the Video
Song Information
Baat baat me rutho na, apne aap ko luto na song is from Seema (1955) and it is sung by Lata Mangeshkar.It stars Nutan and Shobha Khote in leading roles. This song is penned by Hasrat Jaipuri and composed by Shankar Jaikishan. It is produced by Amiya Chakrabarty. This song was released on 01 Jan 1955.
Lyrics
baat-baat me rutho na, apne aap ko luto na
ye rang badalti duniya hai, taqdir se apni rutho na

baat-baat me rutho na
laaj ki lali aag bani hai, bhigi palke abru tani hai

aankho me surkhi dil me muhabbat, hontho me chupi hansi hai
aankho me surkhi dil me muhabbat, hontho me chupi hansi hai
baat-baat me rutho na, apne aap ko luto na
ye rang badalti duniya hai, taqdir se apni rutho na
baat-baat me rutho na
dhalti hain rate le kar andhera, layi bahare naya savera

jiwan safar me dukh ho ya sukh ho karna hai phir bhi basera
jiwan safar me dukh ho ya sukh ho karna hai phir bhi basera
baat-baat me rutho na, apne aap ko luto na
ye rang badalti duniya hai, taqdir se apni rutho na
baat-baat me rutho na
phul kushi ke har koi le-le koi na dekhe aansu ke mele

tum jo hanse to hans degi duniya, rona padega akele